ba-chashm-e-haqiqat jahan dekhta hun
main jaanan ka jalwa ayan dekhta hun
ye jo kuchh ki zahir hai sab nur-e-haq hai
main haq dekhta hun jahan dekhta hun
bahar-rang o har shai o har ja o har su
tujhi ko main jalwa-kunan dekhta hun
har ek qatra-e-bahr-e-kasrat mein yaro
main dariya-e-wahdat rawan dekhta hun
jahan dekhta hun main jalwa hai tera
tere ghair ko main ziyan dekhta hun
ye tasir hai raaz-e-ulfat ka dil par
chu shadi-o-gham ek san dekhta hun
ba-juz zat-e-murshid wahan kuchh na paya
main shaiKH-o-barahman yahan dekhta hun
khula mujh pe hai jab se sirr-e-haqiqat
main apne tain KHud guman dekhta hun
hua faiz-e-KHadim 'safi' se ye 'asim'
ki sab shan-e-maula ayan dekhta hun
Ghazal
Ba-chashm-e-haqiqat jahan dekhta hun
Shah Aasim