ba-chaman ab wo kiya chahe hai mai-nosh guzar
jald ai paik-e-saba gul ke ye kar gosh-guzar
nahin malum kahan jate hain jun nashsha-e-mai
jidhar in rozon mein hum karte hain madhosh guzar
bazm mein mujh ko jo dekha to ye jhunjhla ke kaha
aisi mahfil mein kare hai meri pa-posh guzar
sar-nigun kucha-e-ruswai mein hain aaj talak
sau KHarabi se jo is dar pe kiya dosh guzar
aashiq us parda-nashin ke hain ki gar samne se
kabhi guzre hai to karta hai wo ru-posh guzar
chand roza hai ye mai-KHana-e-hasti yan to
umr ghaflat mein na ai be-KHirad-o-hosh guzar
aa phansa ishwa-o-andaz-o-ada mein yun dil
rahzanon mein kare jun rah-faramosh guzar
ham-safar hain to ye hasrat hai ki kije koson
ek sawari mein hue us se ham-aghosh guzar
qadr-dan koi suKHan ka na raha ai 'jurat'
kunj-e-tanhai mein auqat tu KHamosh guzar
Ghazal
Ba-chaman ab wo kiya chahe hai mai-nosh guzar
Jurat Qalandar Bakhsh