azm-e-fariyaad! unhen ai dil-e-nashad nahin
maslak-e-ahl-e-wafa zabt hai fariyaad nahin
hasil-e-ishq ba-juz KHatir-e-nashad nahin
ye ghanimat hai ki mehnat meri barbaad nahin
ai meri qaid tamanna ke baDhane wale
ghair-mahdud tere husn ki miad nahin
bazm-e-afsana karo KHatm jawani guzri
qabil-e-zikr ab aage koi rudad nahin
maut hai ruh ki mearaj to phir ai 'simab'
ye ulu hai meri danist mein uftad nahin
Ghazal
Azm-e-fariyaad! unhen ai dil-e-nashad nahin
Seemab Akbarabadi