azm-e-buland jo dil-e-bebak mein raha
aks-e-jalil us ka meri KHak mein raha
mere labon pe DhunDte guzri tumhaari umr
izhaar-e-gham to dida-e-namnak mein raha
chhoTa sa ek zarra hi wajh-e-hayat hai
zauq-e-numu kahan KHas-o-KHashak mein raha
phaDa hai us ke gham ne gareban ko is tarah
bas ek tar daman-e-sad-chaak mein raha
'azar' hai ek tasalsul-e-inkar-o-agahi
roz-e-azal se jo mere idrak mein raha
Ghazal
Azm-e-buland jo dil-e-bebak mein raha
Rashid Aazar