اردو हिंदी
Aziyyat uski zehni dur kar de | Shaahi Shayari
aziyyat uski zehni dur kar de

Ghazal

Aziyyat uski zehni dur kar de

Azhar Inayati

;

aziyyat us ki zehni dur kar de
use bhi ai KHuda mashhur kar de

isi mein fath ka teri hai imkan
mujhe ghar mein mere mahsur kar de

ye chehre ye fareb-alud chehre
inhen koi nazar se dur kar de

adab kis ka wahan aadab kaise
banawaT dil mein jab nasur kar de

wahi tazim ke laeq hai 'azhar'
jo KHud tazim par majbur kar de