azizo is ko na ghaDiyal ki sada samjho
ye umr-e-rafta ki apni sada-e-pa samjho
baja kahe jise aalam use baja samjho
zaban-e-KHalq ko naqqara-e-KHuda samjho
na samjho dasht shifa-KHana-e-junun hai ye
jo KHak si bhi paDe phankni dawa samjho
samajh tu kor-sawadon ko ho jo ilm na ho
agar samajh bhi na ho kor-e-be-asa samjho
paDe kitab ke qisson mein kya karo dil saf
safa ho dil to ba-az rauzatus-safa samjho
hanse jo wo mere rone pe to saf-e-mizhgan
na samjho tum use diwar-e-qahqaha samjho
nafas ki aamad-o-shud hai namaz-e-ahl-e-hayat
jo ye qaza ho to ai ghafilo qaza samjho
tumhaari rah mein milte hain KHak mein lakhon
is aarzu mein ki tum apna KHak-e-pa samjho
duaen dete hain hum dil se tegh-e-qatil ko
lab-e-jarahat-e-dil ko lab-e-dua samjho
baha diya mera KHun us ne apne kuche mein
usi ko yaro diyat samjho KHun-baha samjho
samajh hai aur tumhaari kahun main tum se kya
tum apne dil mein KHuda jaane sun ke kya samjho
tumhein hai nam se kya kaam misl-e-aina
jo ru-ba-ru ho use surat-ashna samjho
zahe nasib ki hangam-e-mashq tir-e-sitam
hamare Dher ko tum to wo KHak ka samjho
nahin hai kam zar-e-KHalis se zardi-e-ruKHsar
tum apne ishq ko ai 'zauq' kimiya samjho
Ghazal
Azizo isko na ghaDiyal ki sada samjho
Sheikh Ibrahim Zauq