aziz itna hi rakkho ki ji sambhal jae
ab is qadar bhi na chaho ki dam nikal jae
mile hain yun to bahut aao ab milen yun bhi
ki ruh garmi-e-anfas se pighal jae
mohabbaton mein ajab hai dilon ko dhaDka sa
ki jaane kaun kahan rasta badal jae
zahe wo dil jo tamanna-e-taza-tar mein rahe
KHosha wo umr jo KHwabon hi mein bahal jae
main wo charagh sar-e-rahguzar-e-duniya hun
jo apni zat ki tanhaiyon mein jal jae
har ek lahza yahi aarzu yahi hasrat
jo aag dil mein hai wo sher mein bhi Dhal jae
Ghazal
Aziz itna hi rakkho ki ji sambhal jae
Obaidullah Aleem