aziz aae madad ko na gham-gusar aae
zamane bhar ko musibat mein hum pukar aae
samajh saki na KHirad jab tere ishaare ko
junun nasib hamin the jo su-e-dar aae
milega tohfa-e-dil ke ewaz nashat ki gham
kise KHabar hai ki jit aae hum ki haar aae
junun ki aabla-pai se phul khilte gae
na jaane kitne bayaban hum nikhaar aae
hamare pas bhi kahne ko hain bahut baaten
magar kahe ka hamare jo e'tibar aae
shikast-e-jam pe roe shikast-e-dil pe hanse
kuchh aise lamhe bhi 'jawed' hum guzar aae
Ghazal
Aziz aae madad ko na gham-gusar aae
Javed Vashisht