azal the hai muje KHuban sun iKHlas
abad lag muj hai mahbuban sun iKHlas
agar tun aashiq-e-sadiq hai talib
na kar tun baj matluban sun iKHlas
saki ka husn kita jazb-e-maulud
usi te muj hai majzuban sun iKHlas
piyari ke chhandan hai sab kun marghub
muje lazim hai marghuban sun iKHlas
jo hai maktub manind KHal-o-KHat sun
dharun main us the maktuban sun iKHlas
nayan nari ke qullabe hain mashhur
dharun main us the maqluban sun iKHlas
nabi sadqe qutub-shah kak-jihat
sada dharta hai tu KHuban sun iKHlas

Ghazal
Azal the hai muje KHuban sun iKHlas
Quli Qutub Shah