azal ki yaad mein main garm-e-ah-e-sard hua
lagi thi choT kabhi aur aaj dard hua
guzar gaya ye nigahon se tera markab-e-husn
tamam aalam-e-dil ek qadam mein gard hua
ghalat ki qabil-e-dar-o-rasan hon ahl-e-hawas
bandhai ishq ne himmat jise wo mard hua
pare wo aql se hain is yaqin ne rok liya
kabhi jo wahm ke pichhe mein rah-naward hua
tamam tajraba-e-garm-o-sard-e-ishq kahan
kuchh ashk-e-garm hua dil kuchh aah-e-sard hua
naqab un ki uThi thi ki hum hue behosh
nigah un se laDi thi ki dil mein dard hua
karam se apne miTa do ki be-qarar hai ishq
mera wajud ki duniya ke dil ka dard hua
shuhud-e-be-jihat-o-kaif munsalik 'raghib'
junun use jo kisi samt rah-naward hua
Ghazal
Azal ki yaad mein main garm-e-ah-e-sard hua
Raghib Badayuni