azal ke qissa-go ne dil ki jo utari dastan
kahin kahin se us ne to bahut sanwari dastan
hua se jo sairbin purane mausamon ki hai
suna suna ke thak gai meri tumhaari dastan
kisi ka saya rah gaya gali ke ain moD par
usi habib sae se bani hamari dastan
meri jabin pe sanehat ne likhi hain arziyan
ye arziyan hain hasraton ki ek bhaari dastan
dil-e-KHarab-o-KHasta par nazar na tu ne ki bahaal
ki us makan ki tere gosh sau guzari dastan
Ghazal
Azal ke qissa-go ne dil ki jo utari dastan
Ali Akbar Natiq