azal ke din jinhen dekha tha bazm-e-husn-e-pinhan mein
simaT aaen wahi ranaiyan taswir-e-jaanan mein
mera zauq-e-nazar ab us maqam-e-ashiqi par hai
jahan uljha hua hai husn bhi KHwab-e-pareshan mein
baDha de kash koi wusaten anwar-e-mani ki
mujhe tarmim karna hai mazaq-e-chashm-e-hairan mein
abhi gunjaishen dekhi kahan hain ahl-e-alam ne
sama ja ai ajal aa tu bhi KHalwat-KHana-e-jaan mein
har ek tar-e-gareban hasil-e-sad-barq-e-aiman hai
KHuda-malum kitne husn hain chaak-e-gareban mein
KHuda rakkhe mere daman mein hai ek phul aisa bhi
khaTakta hai jo kanTe ki tarah chashm-e-gulistan mein
azal ke roz se arsh-o-malaik sajda karte hain
koi to baat hai ai 'arzu' tarkib-e-insan mein
Ghazal
Azal ke din jinhen dekha tha bazm-e-husn-e-pinhan mein
Arzoo Saharanpuri