azal abad se bahut dur jhumte the hum
kisi ke dhyan mein kuchh din ko ja base the hum
wo gham ho ya ho KHushi kaif kam na hota tha
ajib rah se ho kar guzar rahe the hum
bahut aziz the hum ko hamare dost magar
ek ajnabi ke liye sab se chhuT gae the hum
karam se aap ke sarshaar tha ye dil lekin
KHushi ki aanch mein kya kya pighal rahe the hum
tumhein to yaad kahan honge ab magar wo din
na dekh kar tumhein har lamha dekhte the hum
wo ek kaif ka aalam wo aarzu-mandi
na jaane kaun si duniya mein ji rahe the hum
Ghazal
Azal abad se bahut dur jhumte the hum
Ahmad Hamdani