azab ye bhi kisi aur par nahin aaya
ki ek umr chale aur ghar nahin aaya
us ek KHwab ki hasrat mein jal bujhin aankhen
wo ek KHwab ki ab tak nazar nahin aaya
karen to kis se karen na-rasaiyon ka gila
safar tamam hua ham-safar nahin aaya
dilon ki baat badan ki zaban se kah dete
ye chahte the magar dil idhar nahin aaya
ajib hi tha mere daur-e-gumrahi ka rafiq
bichhaD gaya to kabhi lauT kar nahin aaya
harim-e-lafz-o-maani se nisbaten bhi rahin
magar saliqa-e-arz-e-hunar nahin aaya
Ghazal
Azab ye bhi kisi aur par nahin aaya
Iftikhar Arif