azab TuTe dilon ko har ek nafas guzra
shikasta-pa the garan muzhda-e-jaras guzra
hujum-e-jalwa-o-nairangi-e-tamanna se
tamam mausam-e-gul mausam-e-hawas guzra
ajab nahin ki hayat-e-dawam bhi baKHshe
wo ek lamha-e-furqat jo ek baras guzra
ye maslahat ki kahin dahr hai kahin firdaus
wahi jo aalam-e-dil hum pe ham-nafas guzra
gham-e-maal raha arz-e-shauq se pahle
is ek baat pe kya kya na pesh-o-pas guzra
kashakash-e-gham-e-azadi-o-asiri mein
har aashiyan pe koi aalam-e-qafas guzra
rah-e-talab mein hain dar-manda rahbar 'tabish'
yahi hai haal to ye qafila bhi bas guzra
Ghazal
Azab TuTe dilon ko har ek nafas guzra
Tabish Dehlvi