azab-e-hijr bhi hai rahat-e-visal ke sath
mili to hain mujhe KHushiyan magar malal ke sath
tumhaari yaad mein bhi zabt-o-etidal kahan
main tum se kaise milun zabt-o-etidal ke sath
yahi bahut hai zamane mein chaar-din ke liye
agar hayat kaTe ek ham-KHayal ke sath
kuchh is tarah shab-e-mah ne kiran ki dastak di
ubhar gain kai choTen kisi KHayal ke sath
ufuq nahin to kisi chand ka tasawwur kya
sitare Dub gae dard ke zawal ke sath
shafaq gulal kali chandni alap sahar
nazar ke samne aae teri misal ke sath
bhaTak raha hun ki farda ka rasta gum hai
qadam qadam mera mazi hai mere haal ke sath
use sunun ki use dekhta rahun ai 'shaz'
jamal-e-naghma bhi hai naghma-e-jamal ke sath
Ghazal
Azab-e-hijr bhi hai rahat-e-visal ke sath
Shaz Tamkanat