azab-e-hasrat-o-alam se nikal jao
meri sahar se meri sham se nikal jao
bahana chahiye ghar se koi nikalne ko
kisi talab mein kisi kaam se nikal jao
hamare KHana-e-dil mein raho sukun ke sath
nikalna chaho to aaram se nikal jao
KHuda nasib kare tum ko be-ghari ka mazaq
hisar-e-shuq-e-dar-o-baam se nikal jao
safar hai shart musafir-nawaz bahutere
kisi taraf bhi kisi kaam se nikal jao
nikal phenko dilon se but-e-bughz-o-inad
nahin to halqa-e-islam se nikal jao
Ghazal
Azab-e-hasrat-o-alam se nikal jao
Naz Naz Khialvi