اردو हिंदी
Azab-e-be-dili-e-jaan-e-mubtala na gaya | Shaahi Shayari
azab-e-be-dili-e-jaan-e-mubtala na gaya

Ghazal

Azab-e-be-dili-e-jaan-e-mubtala na gaya

Arsh Siddiqui

;

azab-e-be-dili-e-jaan-e-mubtala na gaya
jo sar pe bar tha andesha-e-saza na gaya

KHamosh hum bhi nahin the huzur-e-yar magar
jo kahna chahte the bas wahi kaha na gaya

palaT ke dekhne ki ab to aarzu bhi nahin
thi aashiqi hamein jab KHub, wo zamana gaya

rahe musir ki uTha den wo anjuman se hamein
hum uThna chahte bhi the magar uTha na gaya

hamare nam se jab zikr-e-bewafai chala
junun mein bol paDe hum se bhi raha na gaya

hamara qissa-e-gham bich mein wo chhoD uTThe
unhi ki zid thi magar un hi se suna na gaya

zamane bhar ne kaha 'arsh' jo, KHushi se saha
par ek lafz jo us ne kaha saha na gaya