اردو हिंदी
Azab aae the aise ki phir na ghar se gae | Shaahi Shayari
azab aae the aise ki phir na ghar se gae

Ghazal

Azab aae the aise ki phir na ghar se gae

Obaidullah Aleem

;

azab aae the aise ki phir na ghar se gae
wo zinda log mere ghar ke jaise mar se gae

hazar tarah ke sadme uThane wale log
na jaane kya hua ek aan mein bikhar se gae

bichhaDne walon ka dukh ho to soch lena yahi
ki ek nawa-e-pareshan the rahguzar se gae

hazar rah chale phir wo rahguzar aai
ki ek safar mein rahe aur har safar se gae

kabhi wo jism hua aur kabhi wo ruh tamam
usi ke KHwab the aankhon mein hum jidhar se gae

ye haal ho gaya aaKHir teri mohabbat mein
ki chahte hain tujhe aur teri KHabar se gae

mera hi rang the to kyun na bas rahe mujh mein
mera hi KHwab the to kyun meri nazar se gae

jo zaKHm zaKHm-e-zaban bhi hai aur numu bhi hai
to phir ye wahm hai kaisa ki hum hunar se gae