az-bas-ki ji hai tujh bin bezar zindagi se
behtar hai mujh ko marna ai yar zindagi se
mar jaun main to rona mera tamam howe
shaki hain meri chashm-e-KHun-bar zindagi se
us shahid-e-nihan ka kushta hun main ki jis ne
khinchi hai darmiyan mein diwar zindagi se
marte to chhuT jate ranj-o-mehan se yan ke
manind-e-KHizr hum hain na-chaar zindagi se
yan ki aziyyaton se az-bas-ki aagahi thi
karte the hum adam mein inkar zindagi se
jite agar na hum to kyun zillaten uThate
khai hai dil pe hum ne talwar zindagi se
sach hai uThae kab tak har ek ki be-adai
aati hai 'mushafi' ko ab aar zindagi se
Ghazal
Az-bas-ki ji hai tujh bin bezar zindagi se
Mushafi Ghulam Hamdani