ayyam sirf sham-o-sahar ho ke rah gae
kaise ajib log the ghar ho ke rah gae
hum ko pasand aa gaya sahil ka mashwara
kashti ki lakDiyan the shajar ho ke rah gae
miTTi ke is makan ne dhoka diya hamein
sahra-naward KHak-basar ho ke rah gae
aankhen jhapak ke rah gain dil ki wafat par
sailab sirf dida-e-tar ho ke rah gae
pahle to apne panw zamin se juda hue
phir yun hua ki shahr-badar ho ke rah gae
Ghazal
Ayyam sirf sham-o-sahar ho ke rah gae
Farhat Ehsas

