اردو हिंदी
Ayyam-e-shabab apne bhi kya aish-asar the | Shaahi Shayari
ayyam-e-shabab apne bhi kya aish-asar the

Ghazal

Ayyam-e-shabab apne bhi kya aish-asar the

Nazeer Akbarabadi

;

ayyam-e-shabab apne bhi kya aish-asar the
kahte hain jinhen aib wo us waqt hunar the

din-raat wo mahbub mayassar the ki jin ki
zulfen alam-e-sham thin ruKH rashk-e-sahar the

saqi ke idhar jam idhar naz-o-ada se
jadu-nazran KHush-nighan pesh-e-nazar the

mahfil se jo uThte the zara hum to lipaT kar
nazuk-badnan mu-kamaran dast-o-kamar the

hamrah gul-andamon ke ho KHurram-o-KHandan
bagh-o-chaman-o-gulshan-o-bustan mein guzar the

kya shor the kya zor the har lahza aha-ha
kya walwale kya qahqahe be-KHauf-o-KHatar the

dikhla ke jhamak jate rahe dam mein 'nazir' aah
kya jaane wo din barq the ya misl-e-sharar the