ayan ho rang mein aur misl-e-bu gul mein nihan bhi ho
jahan-e-jaan hue gul-pairahan jaan-e-jahan bhi ho
makin kaunain mein ho fil-haqiqat la-makan bhi ho
azal se ta-abad qaem ayan bhi ho nihan bhi ho
par-e-parwaz-e-anqa laenge gar la-makan bhi ho
tumhein hum DhunDh laenge kahin bhi ho jahan bhi ho
kahan hain hazrat-e-isa kahan hain hazrat-e-musa
ayan eajaz mein ho aur tajalli mein nihan bhi ho
ghashi ho aur ghashi mein hosh bhi kuchh kuchh rahe baqi
wo husn-e-la-yazali kuchh ayan bhi kuchh nihan bhi ho
jalana marna eajaz hai us chashm-e-pur-fan ka
hayat-e-jawidan ho aur marg-e-na-gahan bhi ho
jo aankhen hon to husn-o-ishq ki surat nazar aae
ayan ho rang-e-gul mein saut-e-bulbul mein nihan bhi ho
yahan dair-o-haram mein ho wahan mai-KHane mein 'sahir'
barahman ho janab-e-shaiKH ho pir-e-mughan bhi ho
Ghazal
Ayan ho rang mein aur misl-e-bu gul mein nihan bhi ho
Sahir dehlavi