awwal wahi sairab tha sani bhi wahi tha
patthar se guzarta hua pani bhi wahi tha
nau-KHez duaon ka shajar-kar bhi nikla
bosida tamannaon ka bani bhi wahi tha
aankhon pe jo rakhta raha rumal-e-tasalli
nam-dida-gar-e-naql-e-makani bhi wahi tha
aayat-e-irada pe wahi nur ki ungli
auraq-siyah-tar ka giyani bhi wahi tha
kaukab sa damakta tha dhuen mein gul-e-shisha
arzang bichhae hue mani bhi wahi tha
'tafzil' tha ek aamad-o-ilham ka shair
baqi wahi urdu mein hai fani bhi wahi tha
Ghazal
Awwal wahi sairab tha sani bhi wahi tha
Tafzeel Ahmad