اردو हिंदी
Awwal to ye dhaj aur ye raftar ghazab hai | Shaahi Shayari
awwal to ye dhaj aur ye raftar ghazab hai

Ghazal

Awwal to ye dhaj aur ye raftar ghazab hai

Mushafi Ghulam Hamdani

;

awwal to ye dhaj aur ye raftar ghazab hai
tis pe tere pazeb ki jhankar ghazab hai

kyunkar na tujhe dauD ke chhati se laga lun
phulon ka gale mein tere ye haar ghazab hai

jab dekhun hun karti hai mere dil ko pareshan
aashuftagi-e-turra-e-tarrar ghazab hai

ai kash ye aankhen mujhe ye din na dikhatin
is shauq pe mahrumi-e-didar ghazab hai

KHurshid ka munh hai ki taraf ho sake us se
yani wo bar-afroKHta ruKHsar ghazab hai

main aur kisi baat ka shaki nahin tujh se
ye waqt ke upar tera inkar ghazab hai

ab tak haram-e-wasl se mahram na hue hum
kabe mein hijab-e-dar-o-diwar ghazab hai

gar ek ghazab ho to koi us ko uThawe
raftar ghazab hai teri guftar ghazab hai

farhad bacha ishq se ne qais na wamiq
ji le hi ke jata hai ye aazar ghazab hai

ai 'mushafi' is shauq se Tuk bach ke tu chalna
sunta hai miyan wo but-e-KHun-KHar ghazab hai