awwal to tere kuche mein aana nahin milta
aaun to kahin tera Thikana nahin milta
milna jo mera chhoD diya tu ne to mujh se
KHatir se teri sara zamana nahin milta
aawe to bahane se chala shab mere ghar ko
aisa koi kya tujh ko bahana nahin milta
kya faeda gar hirs kare zar ki tu nadan
kuchh hirs se qarun ka KHazana nahin milta
bhule se bhi us ne na kaha yun mere haq mein
kya ho gaya jo ab wo diwana nahin milta
phir baiThne ka mujh ko maza hi nahin uThta
jab tak ki tere shane se shana nahin milta
ai 'mushafi' ustad-e-fan-e-reKHta-goi
tujh sa koi aalam ko main chhana nahin milta
Ghazal
Awwal to tere kuche mein aana nahin milta
Mushafi Ghulam Hamdani