awwal to main rukta nahin aur jis se rukun main
ta-hashr ye mumkin nahin phir us se milun mein
ye aur sunai ki meri baat to sun le
jo teri kahe aan ke us ki na sunun main
ye KHub kahi dekhenge kab tak na milega
is baat pe gar chaho to ab sharm karun main
aapas mein agar charKH-o-zamin dinon ye mil jaen
to bhi na kabhi tujh se mila hun na milun main
tab nam hai 'maruf' dhara rah to sahi jab
chhati pe teri aaTh-pahr mung dalun main
Ghazal
Awwal to main rukta nahin aur jis se rukun main
Maroof Dehlvi