awwal-e-shab wo bazm ki raunaq shama bhi thi parwana bhi
raat ke aaKHir hote hote KHatm tha ye afsana bhi
qaid ko toD ke nikla jab main uTh ke bagule sath hue
dasht-e-adam tak jangal jangal bhag chala virana bhi
hath se kis ne saghar paTka mausam ki be-kaifi par
itna barsa TuT ke baadal Dub chala mai-KHana bhi
ek lagi ke do hain asar aur donon hasb-e-maraatib hain
lau jo lagae shama khaDi hai raqs mein hai parwana bhi
donon jaulan-gah-e-junun hain basti kya virana hai
uTh ke chala jab koi bagula dauD paDa virana bhi
ghunche chup hain gul hain hawa par kis se kahiye ji ka haal
KHak-nashin ek sabza hai so apna bhi begana bhi
husn o ishq ki lag mein aksar chheD udhar se hoti hai
shama ka shoala jab lahraya uD ke chala parwana bhi
KHun hi ki shirkat wo na kyun ho shirkat chiz hai jhagDe ki
apnon se wo dekh raha hun jo na kare begana bhi
daur-e-masarrat 'arzu' apna kaisa zalzala-agin tha
hath se munh tak aate aate chhuT paDa paimana bhi
Ghazal
Awwal-e-shab wo bazm ki raunaq shama bhi thi parwana bhi
Arzoo Lakhnavi