auron pe ittifaq se sabqat mili mujhe
bhule se sar-kashi ki riwayat mili mujhe
ghairon ki dosti se kise hamdami mili
sab se bichhaD ke apni rifaqat mili mujhe
shahron mein bhi sarab ki tahrir paDh saka
na-bina falsafi ki basarat mili mujhe
bas mera zikr aate hi mahfil ujaD gai
shaitan ke baad dusri shohrat mili mujhe
duniya mein roz hashr ka hangam dekh kar
mahjub sar barahna qayamat mili mujhe
kuchh dil-KHarash sher kahe aur chal basa
han zindagi mein itni hi mohlat mili mujhe
socha tha apne ahd ka ek marsiya likhun
'baqar' ghazal hi kahne ki fursat mili mujhe
Ghazal
Auron pe ittifaq se sabqat mili mujhe
Baqar Mehdi