auron ne us gali se kya kya na kuchh KHarida
hum kor-chashm us ke qadmon ki dhul lae
daman samaaton ka phulon se bhar raha hun
us se kaho ki apni baaton mein tul lae
wahi-e-badan na utri us ki hamare dil par
hum sirf us ki gard-e-shan-e-nuzul lae
hum ko agar KHushi hai to ye ki is jahan se
be-barg-o-bar guzre fasl-e-fuzul lae
thi saKHt tegh-e-iKHraj us ke muqable par
'ehsas' jaisa sufi ahl-e-shumul lae
Ghazal
Auron ne us gali se kya kya na kuchh KHarida
Farhat Ehsas