auron ki burai ko na dekhun wo nazar de
han apni burai ko parakhne ka hunar de
wo log jo suraj ke ujale mein chale the
kis rah mein gum ho gae kuchh un ki KHabar de
ek umr se jalte hue sahraon mein gum hun
kuchh der Thahar jaunga daman-e-shajar de
ek KHauf sa tari hai gharon se nahin nikle
tarsi hui aaankhon ko sarabon ka safar de
sab apne charaghon ko bujhae hue chup hain
ek aag si sine mein laga de wo sharar de
Ghazal
Auron ki burai ko na dekhun wo nazar de
Khaleel Tanveer