auron ka sara kaam mujhe de diya gaya
aur mera kaam jaane kise de diya gaya
mujh se kaha gaya ki utaro ab apne aks
aaina ek charagh tale de diya gaya
thi ye meri saza pe maze aa gae mere
ek ghar har ek ghar ke pare de diya gaya
kanTon bhari jo rah thi yun hi rakhi gai
bas nur aablon mein mere de diya gaya
tabir jis ki aisa hi ek aur KHwab ho
ek aur KHwab rose mujhe de diya gaya
dawa kisi ka din ke ujalon pe ab nahin
jo kuchh bhi tha wo raat gae de diya gaya
'ehsas-ji' wahin the magar kuchh na pa sake
sab kuchh unhen jo aae na the de diya gaya
Ghazal
Auron ka sara kaam mujhe de diya gaya
Farhat Ehsas