aur un aankhon ne mere dil ki haalat zar ki
ho nahin sakti dawa bimar se bimar ki
mohr ki un par zarurat kya hai ai pir-e-mughan
ek ek KHam par lagi hai aankh har mai-KHwar ki
KHair ho ya-rab kahin wo KHud na ban jaen raqib
aaine par aaj paDti hain nigahen pyar ki
KHun kar ke dil hamara phir gai wo mast aankh
ek hi chullu mein niyyat bhar gai mai-KHwar ki
did ke talib the musa tur ko thi kya KHabar
phunk kar rakh degi bijli jalwa-e-didar ki
jalwa-e-mahbub se KHali na dekha dil koi
aaine hain saikDon aur ek surat yar ki
ho subuk-raftar kitni hi nasim-e-subh-dam
aankh khul jati hai phir bhi nargis-e-bimar ki
duKHtar-e-raz ne diye chhinTe kuchh aise saqiya
pani pani ho gai tauba har ek mai-KHwar ki
kuchh phale-phule na ye nazuk mazamin ai 'jalil'
be-khile murjha gain kaliyan mere gulzar ki

Ghazal
Aur un aankhon ne mere dil ki haalat zar ki
Jaleel Manikpuri