اردو हिंदी
Aur thoDa sa bikhar jaun yahi Thani hai | Shaahi Shayari
aur thoDa sa bikhar jaun yahi Thani hai

Ghazal

Aur thoDa sa bikhar jaun yahi Thani hai

Hasnain Aaqib

;

aur thoDa sa bikhar jaun yahi Thani hai
zindagi main ne abhi haar kahan mani hai

hath par hath dhare baiThe to kuchh milta nahin
dasht o sahra ki miyan KHak kabhi chhani hai

qatl ko qatl jo kahte hain ghalat kahte hain
kuchh nahin zill-e-ilahi ki ye nadani hai

sahm jate hain agar patta bhi koi khaDke
jaante sab hain tera zimma nigahbani hai

apni ghairat ka samundar abhi sukha to nahin
bund bhar hi sahi aankhon mein abhi pani hai