aur taaruf hamara ho bhi kya
ek shanawar jo Dub tak na saka
kuchh bhanwar yun uchaT paDe the jyun
KHud-kushi par ho koi aamada
ek bagule ki baat thoDi hai
har bagule ne gard ko raunda
bulbule sath-e-ab ko chhu kar
hum ko duniya ka de gae naqsha
wo to sanson ne shamen sulgain
aadmi ko ye ilm hi kab tha
ab hawaon ke dam khulne hain
KHushbuon ka to ho chuka sauda
ab wo KHud ko samajhte hain suraj
jin sitaron ka chand mama tha
Ghazal
Aur taaruf hamara ho bhi kya
Navin C. Chaturvedi