aur safar lamba hua har gam par
thak ke jab baiThe kabutar baam par
aa sakhi dohraen phir bachpan ke din
aa sakhi Dalen hinDole aam par
ye alag daftar mein ja kar gum hue
KHair se lag to gae wo kaam par
ek kaTa ram ne sita ke sath
dusra ban-bas mere nam par
gyarahwin ke chand to chamka to tha
shah ke luTte hue KHayyam par
bandh mat juDe mein ulTe hath se
tu ba-zid hai to ye gajre tham par
mas ki jab pyas nirgun hai sakhi
gopiyan shaida huin kyun shyam par
in gulabon par sada ye titliyan
nit karen bisram jhonke pam par
ham-safar ye tu ye main ye taT ye jhil
phul waren is anokhi sham par
pahle jo thi mehrban hum sab ki man
ab wahi dharti hai bikti dam par
shab Dhali uThne lage hotel se log
chae ka ye daur is ke nam par
Ghazal
Aur safar lamba hua har gam par
Nasir Shahzad