اردو हिंदी
Aur sab bhul gae harf-e-sadaqat likhna | Shaahi Shayari
aur sab bhul gae harf-e-sadaqat likhna

Ghazal

Aur sab bhul gae harf-e-sadaqat likhna

Habib Jalib

;

aur sab bhul gae harf-e-sadaqat likhna
rah gaya kaam hamara hi baghawat likhna

lakh kahte rahen zulmat ko na zulmat likhna
hum ne sikha nahin pyare ba-ijazat likhna

na sile ki na sataish ki tamanna hum ko
haq mein logon ke hamari to hai aadat likhna

hum ne jo bhul ke bhi shah ka qasida na likha
shayad aaya isi KHubi ki badaulat likhna

is se baDh kar meri tahsin bhala kya hogi
paDh ke na-KHush hain mera sahab-e-sarwat likhna

dahr ke gham se hua rabt to hum bhul gae
sarw qamat ko jawani ko qayamat likhna

kuchh bhi kahte hain kahin shah ke musahib 'jalib'
rang rakhna yahi apna isi surat likhna