اردو हिंदी
Aur mujh sa jaan dene ka tamannai nahin | Shaahi Shayari
aur mujh sa jaan dene ka tamannai nahin

Ghazal

Aur mujh sa jaan dene ka tamannai nahin

Muneer Shikohabadi

;

aur mujh sa jaan dene ka tamannai nahin
us ka shaidai hun jis ka koi shaidai nahin

saf hain hum go tujhe mail-e-KHud-arai nahin
dil wahi aaina hai par tu tamashai nahin

qail-e-wahdat hun shirkat ka tamannai nahin
tu jo tanha hai to mujh ko fikr-e-tanhai nahin

naseho kyun sabr karne ke liye karte ho tang
is qadar dil tang hai ja-e-shakebai nahin

DhunDhne par main kamar bandhun to paun qasr-e-yar
be-mahal hai la-makan kahna wo harjai nahin

sach hai haq na-haq nahin milta kisi ko martaba
dar par mansur ko auj-e-masihai nahin

ya karo apna kisi ko ya kisi ke ho raho
chaar din ki zindagi mein lutf-e-tanhai nahin

zar hun taqat se mil jaane ko taqat chahiye
na-tawani se judai ki tawanai nahin

dasht-e-wahshat mein nahin milta hai saye ka pata
main hun saudai mera ham-zad saudai nahin

aatshi shishe ki ainak ho hamari aankh mein
hum tumhaari garmiyan dekhen ye binai nahin

misr ke bazar mein kya baDh gai yusuf ki qadr
husn ko be-pardagi mein aib-e-ruswai nahin

be-mai-o-mai-KHana-o-saqi jo aai mujh ko maut
halqa-e-matam hai daur-e-charKH-e-minai nahin

ho gaya KHamosh jo shahr-e-KHamoshan ka hua
hai dahan-e-gor maujud aur goyai nahin

donon nashaon se hain bahar mast-e-sahba-e-alast
apne mai-KHane mein daur-e-charKH-e-minai nahin

paen kya diwana-e-mizhgan but-e-tarsa mein lutf
sozan-e-isa mein nok-e-KHak-e-shahrai nahin

mere dil ki tujh ko beja hai shikayat ghair se
apne ghar ka haal kahna tarz-e-danai nahin

nashshe mein zinda hain hai isa-nafas apna KHumar
jaan aaza mein chali aati hai angDai nahin

ho gae TeDhe agar hum ne jagaya nind se
aap dar-parda akaDte hain ye angDai nahin

mai-kade par saqf-e-abr-e-rahmat-e-haq chahiye
ehtiyaj-e-saeban-e-charKH-e-minai nahin

be-KHatar hain susti-e-andam se nazuk-mizaj
justuju-e-baada mein shishon ki angDai nahin

sar ko Takra kar miTaya apni qismat ka likha
dair mein kabe mein ab fikr-e-jabin-sai nahin

aap se yusuf hazaron hum se aashiq saikDon
husn ka toDa nahin qaht-e-tamashai nahin

pir-e-gardun se zara anjum uchak kar chhin len
himmaten aali hain fikr-e-charKH-e-baalai nahin

hai mera dasht-e-junun sat aasmanon se do-chand
rub-e-maskun wadi-e-wahshat ki chauthai nahin

duKHtar-e-raz misl-e-aflatun hai jab tak KHum mein hai
nashshe mein apne se bahar hon ye danai nahin

lucknow ki aarzu mein jaan deta hai 'munir'
saltanat ka bhi zamane mein tamannai nahin