aur manzar hain bahut chashm-e-KHaridar mein ab
KHwab bikte hi nahin shahr ke bazar mein ab
sham gul hoti chali jati hai rafta rafta
sham-e-gul jalti nahin gulshan-e-didar mein ab
waiz-e-shahr nahin shahr-e-sitamgar bhi tamam
naqd-e-jaan mangte hain jurat-e-inkar mein ab
habs-e-jaan hai ki umaDta hi chala aata hai
barish-e-mai bhi chali jati hai be-kar mein ab
shaiKH-sahab kabhi sidhe to nahin the lekin
pech-dar-pech hain in jubba-o-dastar mein ab
Ghazal
Aur manzar hain bahut chashm-e-KHaridar mein ab
Kamran Nadeem