aur kya rah gaya hai hone ko
ek aansu nahin hai rone ko
KHwab achchhe rahenge an-dekhe
KHak achchhi rahegi sone ko
tu kahin baiTh aur hukm chala
hum jo hain tera bojh Dhone ko
chashm-e-nam chaar ashk aur idhar
dagh ek rah gaya hai dhone ko
baiThne ko jagah nahin milti
kya karen oDhne-bichhaune ko
ye mah o sal chand baqi hain
aur kuchh bhi nahin hai khone ko
na-rasai ka ranj lae hain
tere dil mein kahin samone ko
aaj ki raat jag lo yaro
waqt phir hashr tak hai sone ko
yaad bhi teri miT gai dil se
aur kya rah gaya hai hone ko
Ghazal
Aur kya rah gaya hai hone ko
Abrar Ahmad