اردو हिंदी
Aur kya mujhse koi sahib-nazar le jaega | Shaahi Shayari
aur kya mujhse koi sahib-nazar le jaega

Ghazal

Aur kya mujhse koi sahib-nazar le jaega

Faza Ibn e Faizi

;

aur kya mujh se koi sahib-nazar le jaega
apne chehre par meri gard-e-safar le jaega

dastaras aasan nahin kuchh KHirman-e-mani talak
jo bhi aaega wo lafzon ke guhar le jaega

chhanw mein naKHl-e-junun ki aao Thahra len use
kaun jalti dhup ko sahra se ghar le jaega

aasman ki khoj mein hum se zamin bhi kho gai
kitni pasti mein mazaq-e-baal-o-par le jaega

main hi tanha hun yahan us ki salabat ka gawah
kaun uTha kar ye mera sang-e-hunar le jaega

kaT kar dast-e-dua ko mere KHush ho le magar
tu kahan aaKHir ye shaKH-e-be-samar le jaega

past rakkho apni aawazon ko warna dur tak
baat ghar ki raKHna-e-diwar-o-dar le jaega

main uThata hun qadam haalat ki rau ke KHilaf
jaanta hun waqt ka jhonka kidhar le jaega

itni lambi bhi nahin logo ye gumnami ki umr
DhunDh kar mujh ko shuur-e-moatabar le jaega

karobar-e-zindagi tak hain ye hangame 'faza'
kya wo saya chhoD dega jo shajar le jaega