aur kya mere liye arsa-e-mahshar hoga
main shajar hunga tere hath mein patthar hoga
yun bhi guzrengi tere hijr mein raaten meri
chand bhi jaise mere sine mein KHanjar hoga
zindagi kya hai kai bar ye socha main ne
KHwab se pahle kisi KHwab ka manzar hoga
hath phailae hue sham jahan aaegi
band hota hua darwaza-e-KHawar hoga
main kisi pas ke sahra mein bikhar jaunga
tu kisi daur ke sahil ka samundar hoga
wo mera shahr nahin shahr-e-KHamoshan ki tarah
jis mein har shaKHs ka marna hi muqaddar hoga
kaun Dubega kise par utarna hai 'zafar'
faisla waqt ke dariya mein utar kar hoga
Ghazal
Aur kya mere liye arsa-e-mahshar hoga
Ahmad Zafar