aur kuchh lafz gaDhun sanat-e-iham ghalat
hai ye KHud apni KHudi is ka KHuda nam ghalat
jumbishen us ki ghalat hain ki KHud abru mein hai KHam
us ki tamil mein ye gardish-e-ayyam ghalat
ye safar kya ki jahan chhanw mili baiTh gae
dhup kitni hi kaDi ho magar aaram ghalat
hawas-e-dana agar hai to su-e-dam chalo
hawas-e-dana o andeshgi-e-dam ghalat
is se behtar thi kahin gosha-e-aram mein nind
ye safar kya ki har ek rah har ek gam ghalat
nahin afsun hi ko afsane ki manzil malum
ghalat aaghaz ka hota hi hai anjam ghalat
'mazhari' chal na sake waqt-e-subuk-e-gam ke sath
ham-safar pairawi-e-waqt-e-subuk-gam ghalat
Ghazal
Aur kuchh lafz gaDhun sanat-e-iham ghalat
Jameel Mazhari