اردو हिंदी
Aur koi dam ki mehman hai guzar jaegi raat | Shaahi Shayari
aur koi dam ki mehman hai guzar jaegi raat

Ghazal

Aur koi dam ki mehman hai guzar jaegi raat

Suroor Barabankvi

;

aur koi dam ki mehman hai guzar jaegi raat
Dhalte Dhalte aap-apni maut mar jaegi raat

zindagi mein aur bhi kuchh zahr bhar jaegi raat
ab agar Thahri rag-o-pai mein utar jaegi raat

jo bhi hain parwarda-e-shab jo bhi hain zulmat parast
wo to jaenge usi jaanib jidhar jaegi raat

ahl-e-tufan be-hisi ka gar yahi aalam raha
mauj-e-KHun ban kar har ek sar se guzar jaegi raat

hai ufuq se ek sang-e-aftab aane ki der
TuT kar manind-e-aina bikhar jaegi raat

hum to jaane kab se hain aawara-e-zulmat magar
tum Thahar jao to pal bhar mein guzar jaegi raat

raat ka anjam bhi malum hai mujh ko 'surur'
lakh apni had se guzre ta-sahar jaegi raat