aur koi bhi nahin apna sahaara baqi
ab hai sine mein faqat dard tumhaara baqi
qarya-e-jaan bhi hai aur dawat-e-didar bhi hai
aankh baqi nahin lekin hai nazara baqi
baqi aasar hain bas qahr-e-KHuda ke har-su
koi tufan hai na kashti na kinara baqi
us ke aane ki hai mauhum si ummid abhi
aasman par hai abhi ek sitara baqi
dil-o-jaan bhi nahin duniya bhi nahin hai apni
sochte hain ki yahan kya hai hamara baqi
jaane kis samt hue log rawana sare
ek main shahr mein hun dard ka mara baqi
Ghazal
Aur koi bhi nahin apna sahaara baqi
Munawwar Hashmi