aur kis tarah use koi qaba di jae
ek taswir hi patthar pe bana di jae
taki phir koi na parchhain ke pichhe dauDe
apni basti mein chalo aag laga di jae
KHub hai ye meri maKHsus tabiat ka ilaj
har tamanna meri kanTon pe sula di jae
apni hi zat pe hota hai jo sae ka guman
tirgi shab ki kisi taur baDha di jae
hum kisi tarah to imroz ki talKHi samjhen
ahd-e-rafta ki har ek baat bhula di jae
aao dekhen na koi apna shanasa nikle
ajnabi chehron se ye gard haTa di jae
dekhne se jise aankhon mein andhera chhaya
kis ko is KHwab ki tabir bata di jae
jab muqaddar hai shab-o-roz ki be-kaifi 'saba'
KHwab ki tarah har ek yaad bhula di jae
Ghazal
Aur kis tarah use koi qaba di jae
Saba Jayasi