aur kis shai se dagh-e-dil dhoen
kya karen gar na is qadar roen
dil to patthar bana diya tu ne
aarzu kis zamin mein boen
hum kisi baat se nahin Darte
hum ne paya hi kya hai jo khoen
aaj fursat mili hain muddat baad
aao! tangi-e-waqt par roen
hum yahi KHwab dekhte hain 'asad'
un ke shane pe rakh ke sar soen
Ghazal
Aur kis shai se dagh-e-dil dhoen
Subhan Asad