aur kis ka ghar kushada hai kahan Thahregi raat
mujh ko hi mehman-nawazi ka sharaf baKHshegi raat
nind aaegi na un be-KHwab aankhon mein kabhi
mujh ko thapki dete dete aap so jaegi raat
sham hargiz din ke sine mein na KHanjar ghonpti
ye agar malum hota KHun-baha mangegi raat
aansuon se tar-ba-tar ho jaega aangan tamam
karb-e-tanhai pe apne phuT kar roegi raat
chand-taron ko chhupa bhi len ghane baadal agar
jhilmilate jugnuon se rasta puchhegi raat
apne apne lutf se donon nawazenge mujhe
zaKHm-e-dil baKHshega din us par namak chhiDkegi raat
suraj apne rath ko phir aakash par dauDaega
subh ka tara nikalte hi simaT jaegi raat
jab tere juDe ka gajra yaad aaega mujhe
raat-ki-rani ke phulon se mahak uThegi raat
ghar palaT kar jaunga ruKH par liye din-bhar ki dhul
mujh ko ai 'abid' baDi mushkil se pahchanegi raat
Ghazal
Aur kis ka ghar kushada hai kahan Thahregi raat
Abid Munavari