aur kar lenge wo kya ab hamein ruswa kar ke
ab jo aae hain to jaenge tamasha kar ke
apni taKHliq ke ikmal se sauda kar ke
kaun is parde mein baiTha hai tamasha kar ke
ek zamana hai pareshan muamma kya hai
tum to ghaeb hue kuchh kaam adhura kar ke
tere jalwe ki hawas hum ko har ek rang mein hai
su-e-but-KHana chale jate hain sajda kar ke
taki sajdon ki taDap mein na kami aa pae
aur sajdon ke liye nikle hain sajda kar ke
itni rangin jo duniya hai teri hi to hai
kis tarah kufr karen hum yahan tauba kar ke
jis ne luTte hue dekha hai tamaddun apna
us se kahte ho rahe tum pe bharosa kar ke
hum se kya puchho ho ahwal-e-haram ai logo
aaj ke dard ka jao to mudawa kar ke
'mani' mai-KHane ko masjid se chale kahte hue
thoDi tabdili ko ho aate hain sajda kar ke
Ghazal
Aur kar lenge wo kya ab hamein ruswa kar ke
sulaiman ahmad mani