aur hoti meri ruswai nikharta aur kuchh
ghaur karta aur kuchh izhaar karta aur kuchh
yar logon mein sabaq banti meri aawargi
saneha is shahr mein mujh par guzarta aur kuchh
in dinon dida bhi lagta hai shunida ki tarah
kash harf o saut ke man mein utarta aur kuchh
aaKHiri hichki se dam TuTa na nabz apni ruki
tu agar hota mere aage to marta aur kuchh
sans lene bhi na paya tha ki manzar gum hua
main kisi qabil na tha warna Thaharta aur kuchh
nasri nazmen kahne wale to farishte hain tamam
mujh gunahgar-e-ghazal par qahr utarta aur kuchh
be-takalluf is qadar tha qatl mera kar diya
wo adu hota to 'kawish' mujh se Darta aur kuchh
Ghazal
Aur hoti meri ruswai nikharta aur kuchh
Kavish Badri